Tuesday, 3 April 2012

yaad seher

yaad seher

aankhe nm ho jati hai,mera dil rone ko aata hai
vo masum sa chehra tera yad jabhi bhi aata hai
tera gora mukhda ,chand ka tukda barbs mohe jata hai
us pyare se yad seher ki sair mujhe krata hai

vo chote chote se chumbn,vo chote chotese jhagde
vo pagal premi ki nai ek duje se lipte rehte
vo sagar tat(kinare) ke ret mehel me jeewan yapan ke sapne
jeewan taruvr ko prem neer se seeche jane ki chaht
door kahi sunsan dweep pe jake bsne ki hasrat
vo hath pkad sooni raho pe sath nibhane ke vade
vo khoobsurat se lamhe dil bekrar kr jate hai
aankhe nm ho jati hai ,mera dil rone ko aata hai 
vo masum sa chehra tera yad jabhi bhi aata hai

kya vo sma tha kya manjar tha ,ishq se bdkr pagalpn tha
teri julfo ke aanchal me mai sir rkhke so jata tha,
tere naino ke sagar me mai gote roj lgata tha
tu aakr ke anayas yuhi seene se mere lg jati
mere aagosh me aake jg ko bisra jati thi
teri pawan preet ki masti me mai ,sudhbudh apni kho jata tha
hotho ke my, jeewan ke rs me sarabor ho jata tha
vo khoobsurat se lamhe dil bekrar kr jate hai
aankhe nm ho jati hai ,mera dil rone ko aata hai 
vo masum sa chehra tera yad jabhi bhi aata hai


2 comments: